Friday 23 September 2011

"KHOYAHUA BACHPAN"


“KHOYA HUA BACHAPAN” –

Nanhe se hath; chhoti si hatheli.
Abhi to usane,
khud ko bhi nahi jana he;
Phir bhi vah samay ki chabuk ke age natmastak he;
Aur;
Kude ke  dher me kuchh  doodh  raha  hai;
Shayad uska bachpan he jo is dher me kho gaya hai;
Aj jin nanhe se hatho me khilone hone chahiye the,;
Aj unme khilone to hai….. par toote hue;
Uski aankho  me khwaw to hai….par choote hue;
Fir wah bachcha….apani ma ko yad kar ro gaya;
Us dher ko ma ki god samajh , fir so gaya;
Aankhe khuli to manjar khhuch aur tha;
Sunahare bhavishya ki jagah ‘Polythene’ ka bag tha;
.Na jane uska bachapan kisi ne chura liya..........
Ya phir usane kho diya;
Wo to us  “ KHOYE HUE BACHAPAN” KO dhudane bas chal diya;
Us dher me dhudate hue usane kuchh pa liya;
Use khusi se chooma aur phir sine se laga liya;
Shayad isase uska aj ka din to guzar jaega;
Aur ye kambakht samay bhi kat jayega;
Jindagi ka sunhara pal usane koodhe ke dher par bita diya;
Ye “Nanhe bachche” ka bhavishya   ya  “Rastra” ka AJ USNEsab ko bata diya.....
Wo bachcha akela nahi jo dher ko ashiyana samajhta hai;
Is 121 carore ki abadi me 25% bachcha is dher me rahata hai;
Wo kuch pal jeete hai…..aur Bimariyo se mar jate hai;
“MERA BHARAT MAHAN” Aur “INCREDIBLE INDIA” kahkar hum so jate hai;;

Kash!!!! Hamane in nanhe bachcho ko sahi rasta dikha diya hota;
To phir n koi bachcha bachapan se garib aur na hi koode ke dher par sota;;;;

No comments: