POEMS


                                       AAina

   

                          

           

                       AAINA   (आईना)


Jo hoon so hoon…  

                 Bas itana yankeen rakh

 

 Mai tere samane to hooo…


Mujhse chhupakar tujhe kuchh hasil na hoga…


Agar bata diya,,

               To bahut achha ..


Nahi to fir mai jo batauga ,,,

Us par tujhe yankeen na hoga….;

 

Chalakar jin rasto par ,

                    Tum vikas ke aanyam likhate ho….;


Mai janta ko batauga tum kaise…

                   Notoo ke chaurahe par bikate ho…//


Chheen lete ho dusaro ka jivan

                    aur khud ko begunah kahate ho..


aur fir jab mai duniya ko hakikat kahu..

                To mujhko jhoota  kahate hoo;;;…//

 

Aur fir  is pahal me bhi tum kamyab ho                    gaye…..


Kar diya hamara vastukaran aur hum badnam ho gaye..

 

 

 

Aur ab to insan bhi hum par yankeen nahi rakhata..


Hakikat dkhao to kahata hai “ye! Aaina”   hakikat nahi  kahata…


aur fir tood dete hai mujhe kai hisso me..

kahate hai.. naya wala lao “ JO HAKIKAT  NAHI KAHTA”

 


Na chahate huye bhi hamane apane pratibimb(प्रतिबिंब)  

                   Kanhi or banana shuru kar diye …


“Tum ek din hamara kahana jaroor maanoge”                       itana kah kar  wo mushkara diye..

 

kya kare? Agar na manate to wo khud ke liye hamara astitv (अस्तित्व) mita dete ..


Mai “Abadhay” aaina hoo .. agar aur hakikat dikhata to ye “Log”…  “Logo ke dil ki tarah”          mujhe kai hisso me baat dete  …

        




                   "LOOK TANTRA"



                               Look Tantra to Ek Bahana hai...;
                          Tantra- Murgi  Or  Look - Daana hai;;
                                  Khhaoo isko jitna Jitna Khhana hai;;;;;;;;;\



                 "KHOYAHUA BACHPAN"


                    

Nanhe se hath; chhoti si hatheli.
Abhi to usane,
khud ko bhi nahi jana he;
Phir bhi vah samay ki chabuk ke age natmastak he;
Aur;
Kude ke  dher me kuchh  doodh  raha  hai;
Shayad uska bachpan he jo is dher me kho gaya hai;
Aj jin nanhe se hatho me khilone hone chahiye the,;
Aj unme khilone to hai….. par toote hue;
Uski aankho  me khwaw to hai….par choote hue;
Fir wah bachcha….apani ma ko yad kar ro gaya;
Us dher ko ma ki god samajh , fir so gaya;
Aankhe khuli to manjar khhuch aur tha;
Sunahare bhavishya ki jagah ‘Polythene’ ka bag tha;
.Na jane uska bachapan kisi ne chura liya..........
Ya phir usane kho diya;

Wo to us  “ KHOYE HUE BACHAPAN” KO dhudane bas chal diya;

Us dher me dhudate hue usane kuchh pa liya;

Use khusi se chooma aur phir sine se laga liya;

Shayad isase uska aj ka din to guzar jaega;

Aur ye kambakht samay bhi kat jayega;

Jindagi ka sunhara pal usane koodhe ke dher par bita diya;
Ye “Nanhe bachche” ka bhavishya   ya  “Rastra” ka AJ USNEsab ko bata diya.....
Wo bachcha akela nahi jo dher ko ashiyana samajhta hai;
Is 121 carore ki abadi me 25% bachcha is dher me rahata hai;
Wo kuch pal jeete hai…..aur Bimariyo se mar jate hai;
“MERA BHARAT MAHAN” Aur “INCREDIBLE INDIA” kahkar hum so jate hai;;

Kash!!!! Hamane in nanhe bachcho ko sahi rasta dikha diya hota;
To phir n koi bachcha bachapan se garib aur na hi koode ke dher par sota;;;;












             " JOURNEY OF MY LIFE"



       .

 
                                                    PART- 1
                                              MERA BACHAPAN

Mai Is duniya me mai abhi aya hoo..
Apano se milkar kuchh ghabaraya sa hoo;

Mujhe dekhakar sabhi ki khushiya aur bad gayi..:
Ladaka hua hai aur charo taraf mithaiya bat gayi;

Padosh bed par dekha to manzar kuchh aur tha...
Shayad ladki hui thi isiliye un chaharo par rosh tha;

Bas yahi dekhakar mai is zaha ko samajh gaya;;
Par jese bad hota in sab baato ko bhulata gaya.

Abhi nanha tha to sabhi ke ghar ko apana ghar samajh ta tha;
Zahaan bhook lagi usake ghar khana kha liya karta tha ..

Us samay is masoom se chahare na koi sikan thi;
Na beete hue pal ka gam aur na hi aane wa;e sunahre bhavishya ki chinta thi.

Samay ki tarah mai bhi badta gaya......;;
Kab in nanhe se haatho me "BAG" aa gaya pata hi na chala..

Ab is bag ko kandhe par rakhakar asahneey( 
असहनीय ) dard sahan karta hoo ;
Ek student ki jagah jhud ko majdoor samajh ta hoo..

Mai na chahate hue bhi is bag ke dard ko sahata gaya..
Aur ek Nadi mai patte ki tarah bahata gaya........... 


                                                           





No comments: